Madan prakash churan is now available on Amazon ,order now

  • Swapndoshahar churna now available on Amazon click on the link and order

    बालो को लंबा,घना और सुंदर केसे बनाये ?(baalon ko lamba ,ghana,sundar kaise banaye)?)-

    बालो को लंबा,घना और सुंदर केसे बनाये ?


                  Aaj kal har Koi safed balo se pareshan hai.
    Bachho Se lekr Bado tak safed balo ki problems ko face kar rha hai.
    Aadhunik yug ki bhagdodh bhari life me log apne balo Ki care nhi kar pate jitni dekhbhal balo ki honi chahiye nhi kar pate Jisse balo se related kai Problems hoti hai.
    Aaiye kuchh ese karan pr vichar kare jin ki vjah se bal se related problems hoti hai.

    1) pollution - aaj kl environment me pollution itna bad gya hai jisse logo ki puri body ko to nuksan hota hai balo me bhi kai problems hoti hai jese bal jhadna, bal safed hona, etc.

    2) camichal wale shampoo or oil- balo ko shine dene or sundar dikhane k liye log shampoo use karte hai un me camichal hota hai jo balo ko nuksan pahuchate hai.

    3) mahilao me Harmons me asantulan - mahilao me period k time Harmons asantulan hota hai jisse bhi balo me problems hoti hai.

    4) stress or depression -  jada stress lene se bhi balo ko nuksan hota hai.

    5) khane me protein vitamin ki kami- aaj kl sabjiyo or fruits me bhi camichal aane lage hai.CCamichal se sabjiyo ko or fruits ko time se pahle hi pakate hai jisse balo ki problems badti hai.
                To ye kuchh ese karan hai jinki vajah se balo ki problems hoti hai. Or in samasyao ka koi samadhan nhi . Lekin balo ki problems ko kam karne ke kai saral or gharelu upaye hai jin ko aajma ke aap apne balo ko asamy jhadne or safed hone se bacha sakte hai.



    1) aam ki pattiyo ka pest bana ke 15-20 minutes tk balo me laga ke rakhe. Or fir pani se dho len. Isse balo ko bahut fayda hoga.

    2) 2 glass pani me 2 chamach aanwle ka  pawdar or aadha nimbu ka rus mila kr roz bal dhoye bal jhadna bnd ho ke kale or ghane honge.

    3)Aanwla ya nariyal ke tel ko garam kar ke balo ki jado me malish kare isse jade majboot hongi or bal jhadna kam honge.

    4) Mehandi aanwla pawdar or Chai ki patti pani me gala kar rat bhar ke liye rakh den or agli subah usme nimbu ka rus, bhrangraj, mulethi, anda, mila kr pure sir me lagaye or jado me malish kare or ek ghante bad dho len. Isse bal kale ghane or majbut hote hai.

    5) Aaram se or sahi dhang se kanghi kare.

    6) Kari ptta balo ke liye bahut faydemnd hota hai. Isliye khane me kari ptta ka use jada kare.

    7) chai ki patti ke pani se bal dhoye isse bal kale hote hai.

    8) gay ka ghee se sir me malish karne se balo ki jade majbut hoti h or bal kale hote hai.
    Aayurved me bhi iska varnan hai.

    9) Mehandi kaa pest bana kr usme 3 chamach karonde ka churna Or 1 chamach coffee mila k pest bna ke sir me 2 ghante tak laga ke rkhe or shampoo se dho len isse bal kale ghane or majbut hote hai.
            Ye kuchh ese aasan or gharelu nuskhe hai jo hum ghar pr aasani se kar sakte hai. Or apne balo ko svasth banaye rakh sakte hai. Aayurved me ese hi kai nuskhe diye gaye hai jo 100% tk balo ka jhadna band kar ke ghana or sundar banate hai.
    Ab duniya alopathic se Aayurved ki tarf bad Rahi hai jisse fayda to hota hai sath hi koi side effects bhi nhi hote.
    Prachin kal me mahilao ke bal hamesha sundar or ghane or aakarshit dikhte the kyuki wo jadibutiyo se balo ko dhoti thi or jadibutiyo ka tel bhi lagati thi.
    Lekin jese jese hum log aadhunik sabhyta ki or bade hai camichal wali chizo ka use karne lage hai. Jese shampoo, oil, hair colour etc. Jinki vajah se balo ki problems badti ja rhi hai.
    Aaiye hum fir ek bar apne purvajo ki batai gai Aayurveduce sabhyta ki or chale or apne sharir ko svasth banaye.
    Is bare me aap ko koi bhi jankari chahiye comment kare

    Not-
               किसी भी ओषधि के सेवन से पूर्व किसी वैद या डॉक्टर की सलाह अवश्य लें। सभी मनुष्य की शारीरिक प्रकृति अलग अलग होती है। और औषधि मनुष्य की प्रकृति के अनुसार दी जाती है यह वेबसाइट किसी को भी बिना सही जानकारी के औषधि सेवन की सलाह नही देती अतः बिना किसी वैद की सलाह के किसी भी दावाई का सेवन ना करें।



    Women's problems or solution ke liye is link par click kare

    aayurvaidice.blogspot.com

    onnihealhcare.blogspot.com

    aayurvadvice.blogspot.com






    Questions -
                        Hiii I am shipra
                      Mere bal bahut patale hai  kya kru koi Upaye bataiye please.




    Ans.
           Shipra aap Chemical wale shampoo ka use na kare.Or balo par jyada brush na karen din me ek ya do bar hikaren.  Or aap ke bal kese hai diye gaye number pr call ya whatsapp. Kare or apni puri detail bataiye.




    Questions -
                         Hii I am sunidhi
                    Mam mere hair bahut safed ho rahe hai kya karu color karne se jhadte bahut hai . Koi upaye bataiye?





    Question-
                  Hello mam mera nam priya h or mere bal bahut patle or chhote h kya kru upaye btaiye please.




    Question-
                 Hii i am riya mere bal bahut chhote h please btaye jisse mere bal lambe ho sake.




    Question-
               Hello mam mera nam shivangi h mere bal lambe h but bahut patle h koi upaye bataiye please.



    No comments